Aankhen Meri Kya DhunDti Hain
aankhen meri kya DhunDhti hain
pani mein ya chaTTanon mein
shabnam ke nanhe qatron mein
barudi dahakte shoalon mein
gulzaron mein
ya banjar registanon mein
mahfil mein tanhai mein
dusron ki angnai mein
nazmon ke tikha-pan mein
ghazlon ki ranai mein
mai-KHwanon ke band kiwaDon ke pichhe
mandir mein chaDhae phulon mein
masjid ke KHali musalla par
marghaT mein qabristanon mein
bazaron mein viranon mein
dasht se kanpte honTon par
wahshat se lapakte jazbon par
bosida kachchi kholi mein
unche unche aiwanon mein
munsif ke phisalte qalamon par
mulzim ki larazti sanson mein
insaf ki andhi dewi mein
ya jhul rahe mizanon mein
bachchon ki taDapti lashon mein
maon ki bhi mamta mein
aankhen meri usi chehre ki mutalashi hain
jis chehre mein wo rahti thin
wo chehra jo ab KHud ko bhi pahchanne se qasir hai 'nazar'
aankhen us ko kya DhunDengi
(823) Peoples Rate This