Tapakte Shoalon Ki Barsat Mein Nahaunga

Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga

ab aa gaya hun to is shahar se na jaunga

kashish hai ghar mein na bahar ki raunaqen baqi

yunhi raha to kahan ja ke muskuraunga

ye gili gili si KHushbu ye narm narm nigah

tumhaare pas raha main to bhig jaunga

basa sako to basa lo mujhe KHayalon mein

ki is dayar mein dobara main na aaunga

qadam sameT ke chalna bhi sikh jaoge

tumhein main ganw ki pagDanDiyan dikhaunga

chala tha DhunDne main zindagi ki buniyaaden

pata na tha ki KHud apna pata na paunga

na hunga main to meri dastan hogi 'nazar'

zamin pe dhup ki surat main phail jaunga

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tapakte Shoalon Ki Barsat Mein Nahaunga In English By Famous Poet Badnam Nazar. Tapakte Shoalon Ki Barsat Mein Nahaunga is written by Badnam Nazar. Read famous Poem Tapakte Shoalon Ki Barsat Mein Nahaunga for youth and Student by Badnam Nazar. Free Download Tapakte Shoalon Ki Barsat Mein Nahaunga in PDF.