Jo Jhuk Ke Milte The Jalson Mein Mehrban Ki Tarah
jo jhuk ke milte the jalson mein mehrban ki tarah
hue hain sar pe musallat wo aasman ki tarah
mujhe jo kholo to sahil qarib kar dunga
samundaron mein main rahta hun baadban ki tarah
tumhaare shahar ke jabri nizam mein kuchh log
kabhi hanse bhi to aawaz thi fughan ki tarah
hai tez dhup safar lamba par tumhaari yaad
hai ek saya mere sar pe saeban ki tarah
na koi patta hara hai na koi phul khila
bahaar bhi mere ghar aai hai KHizan ki tarah
na saf zehan na chehre ke KHal-o-KHat raushan
fazaon mein hai har ek shai dhuan dhuan ki tarah
jahan bhi jaun main wo dasht ho ki dariya ho
duaen man ki chalen sath pasban ki tarah
'nazar' ke nam ka ek shaKHs kuchh jununi sa
akela dasht mein chalta hai karwan ki tarah
(832) Peoples Rate This