Gum-shuda Mausam Ka Aankhon Mein Koi Sapna Sa Tha

gum-shuda mausam ka aankhon mein koi sapna sa tha

baadalon ke uDte TukDon mein tera chehra sa tha

phir kabhi mil jae shayad zindagi ki bhiD mein

jis ki baaten pyari thin aur nam kuchh achchha sa tha

jaan-ba-lab hone laga hai pyas ki shiddat se wo

KHushk registan mein ek shaKHs jo dariya sa tha

ghir gaya hai ab to shoalon mein mera sara wajud

us ki yaaden thin to sar par ek KHunuk saya sa tha

us ne achchha hi kiya rishton ke dhage toD kar

main bhi kuchh ukta gaya tha wo bhi kuchh uba sa tha

shahr ki ek ek shai apni jagah par hai 'nazar'

kya hua wo aadmi kuchh kuchh jo diwana sa tha

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum-shuda Mausam Ka Aankhon Mein Koi Sapna Sa Tha In English By Famous Poet Badnam Nazar. Gum-shuda Mausam Ka Aankhon Mein Koi Sapna Sa Tha is written by Badnam Nazar. Read famous Poem Gum-shuda Mausam Ka Aankhon Mein Koi Sapna Sa Tha for youth and Student by Badnam Nazar. Free Download Gum-shuda Mausam Ka Aankhon Mein Koi Sapna Sa Tha in PDF.