Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad
bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere baad
bhul kar aai na is samt saba tere baad
teri zulfon ki mahak tere badan ki KHushbu
DhunDhti phirti hai ek pagli hawa tere baad
wahi mele wahi panghaT wahi jhule wahi git
ganw mein par koi tujh sa na mila tere baad
andhi raaton ki syahi mera maqdur hui
koi tara mere aangan na gira tere baad
de diya apne dil-o-jaan ka ek ek qatra
aur kya chahti hai teri sada tere baad
jism mera tha magar ruh ka malik tha aur
kaisi ayyari ka ye raaz khula tere baad
had-e-imkan talak kirnen wafa ki bikhren
jism mera kai zaKHmon se saja tere baad
tu hi ghaalib nahin ek jaur-e-falak ka mara
mere ghar aaya hai tufan-e-bala tere baad
kisi KHush-fahmi mein rahta hai tu badnam-'nazar'
kaun rakkhega tujhe yaad bhala tere baad
(1030) Peoples Rate This