Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_db2064d5382ba505af238e814ba0a5da, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raushni Hi Raushni Hai Shahr Mein - Badiuzzama Khawar Poetry In English - Darsaal

Raushni Hi Raushni Hai Shahr Mein

raushni hi raushni hai shahr mein

phir bhi goya tirgi hai shahr mein

roz-o-shab ke shor-o-ghul ke bawajud

ek tarah ki KHamushi hai shahr mein

rail ki paTri pe so jate hain log

kitni aasan KHud-kushi hai shahr mein

jo imarat hai wo sar se panw tak

ishtihaaron se saji hai shahr mein

ganw chhoDe ho chuki muddat magar

'KHawar' ab tak ajnabi hai shahr mein

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Hi Raushni Hai Shahr Mein In English By Famous Poet Badiuzzama Khawar. Raushni Hi Raushni Hai Shahr Mein is written by Badiuzzama Khawar. Read famous Poem Raushni Hi Raushni Hai Shahr Mein for youth and Student by Badiuzzama Khawar. Free Download Raushni Hi Raushni Hai Shahr Mein in PDF.