Mujhko Nahin Malum Ki Wo Kaun Hai Kya Hai
mujh ko nahin malum ki wo kaun hai kya hai
jo sae ke manind mere sath laga hai
ek aur bhi hai jism mere jism ke andar
ek aur bhi chehra mere chehre mein chhupa hai
mahtab to aaega na siDhi se utar kar
diwana kis ummid pe raste mein khaDa hai
milne ki tamanna hai magar us se milen kya
jis shaKHs ka is shahr mein ghar hai na pata hai
likhta hun nai nazm-o-ghazal jis ke sabab main
wo zauq-e-suKHan to mujhe wirse mein mila hai
maidan mein chale aao to khul jae ye tum par
kya sham ki sarshaar hawaon mein maza hai
socha tha mere sath chalega jo safar mein
ghar par wo mera KHwab-e-hasin chhuT gaya hai
hum 'mir' ka diwan the kya fahm pe khulte
aKHbar samajh kar hamein logon ne paDha hai
kahte hain ki us shahr mein hai dhum hamari
dekha hai kisi ne na jahan hum ko suna hai
bahar se koi aaj to 'KHawar' ko pukare
kamre mein bahut roz se wo band paDa hai
(860) Peoples Rate This