KhaDa Tha Kaun Kahan Kuchh Pata Chala Hi Nahin
khaDa tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin
main raste mein kisi moD par ruka hi nahin
hawaen tez thin itni ki ek dil ke siwa
koi charagh sar-e-rahguzar jala hi nahin
kahan se KHanjar-o-shamshir aazmata main
mere adu se mera samna hua hi nahin
dukhon ki aag mein har shaKHs jal ke rakh hua
kisi gharib ke dil se dhuan uTha hi nahin
hamara shahr-e-tamanna bahut hasin tha magar
ujaD ke rah gaya aisa ki phir basa hi nahin
wo ban gaya mera naqid pata nahin kyun kar
mera kalam to us ne kabhi paDha hi nahin
main apne daur ki aawaz tha magar 'KHawar'
kisi ne bazm-e-jahan mein mujhe suna hi nahin
(847) Peoples Rate This