Kab Bayaban Rah Mein Aaya Ye Samjha Hi Nahin
kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin
chalte rahne ke siwa dhyan aur kuchh tha hi nahin
karb-e-manzil ka ho kya ehsas in ashjar ko
jin ke sae mein musafir koi Thahra hi nahin
kis ko batlate ki aae hain kahan se kaun hain
hum faqiron ka kisi ne haal puchha hi nahin
kya talab karta kisi se zindagi ka KHun-baha
mujrmon mein mera qatil koi nikla hi nahin
be-tahasha pyar ki daulat luTai umr bhar
dosti ka hum ne kuchh anjam socha hi nahin
ghumta paya gaya tha shahr mein wo ek din
phir kisi ne tere diwane ko dekha hi nahin
dosto 'KHawar' sunae kya tumhein taza ghazal
muddaton se us ne koi sher likkha hi nahin
(833) Peoples Rate This