Jale Hain Dil Na Charaghon Ne Raushni Ki Hai
jale hain dil na charaghon ne raushni ki hai
wo shab-paraston ne mahfil mein tirgi ki hai
hadis-e-zulm-o-sitam hai hanuz na-gufta
hanuz mohr zabanon pe KHamushi ki hai
us ek jam ne saqi ki jo ata Thahra
sukun diya hai na kuchh dard mein kami ki hai
hamein ye naz na kyun ho ki nai-nawaz hain hum
hamare honTon ne ijad naghmagi ki hai
chaman mein sirf hamin raazdan hain kanTon ke
gulon ke sath basar hum ne zindagi ki hai
firaq-e-yar ne baKHshi hai wasl ki lazzat
KHayal-e-yar ne zulmat mein raushni ki hai
hain jis ki did se mahrum aaj tak 'KHawar'
usi ki hum ne tasawwur mein bandagi ki hai
(1130) Peoples Rate This