Bhagte Suraj Ko Pichhe ChhoD Kar Jaenge Hum

bhagte suraj ko pichhe chhoD kar jaenge hum

sham ke hote hi wapas apne ghar jaenge hum

kaTne ko ek shab Thahre hain tere shahr mein

kya bataen subh hogi to kidhar jaenge hum

dhup mein phulon sa murjha bhi gae to kya hua

shahr se honTon ke paimane to bhar jaenge hum

aaj gardun ki bulandi napne mein mahw hain

kal kisi gahre samundar mein utar jaenge hum

DhunDte khoya hua chehra kisi shishe mein kyun

jaante gar ye ki sae se bhi Dar jaenge hum

kuchh hamara haal bhi 'KHawar' hai kundan ki tarah

dukh ke shoalon mein jalenge to nikhar jaenge hum

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhagte Suraj Ko Pichhe ChhoD Kar Jaenge Hum In English By Famous Poet Badiuzzama Khawar. Bhagte Suraj Ko Pichhe ChhoD Kar Jaenge Hum is written by Badiuzzama Khawar. Read famous Poem Bhagte Suraj Ko Pichhe ChhoD Kar Jaenge Hum for youth and Student by Badiuzzama Khawar. Free Download Bhagte Suraj Ko Pichhe ChhoD Kar Jaenge Hum in PDF.