Wahi Jins-e-wafa AaKHir Faraham Hoti Jati Hai
wahi jins-e-wafa aaKHir faraham hoti jati hai
mohabbat ki haqiqat bhi musallam hoti jati hai
hai un ki aamad-e-mausiqiyat-andaz ka dhoka
phuwaren gungunati hain chhama-chham hoti jati hai
teri chahat ne aisi ruh-e-zinda phunk di mujh mein
ki meri zindagi shauq-e-mujassam hoti jati hai
simaT kar aa gain tarikiyan bazm-e-tasawwur mein
masarrat aur KHushi ki jot maddham hoti jati hai
wafa ke saz par gata hun naghme zindagani ke
meri aawaz aawaz-e-do-alam hoti jati hai
ye haal apna hua hai shiddat-e-KHatraat-e-paiham se
tahaffuz ki jo thi ummid ab kam hoti jati hai
hamara saz-e-dil ye aaj tum ne kis tarah chheDa
ki har ek sans ek aawaz-e-matam hoti jati hai
jawani uTh rahi hai aur nazar mail hai jhukne par
ye kaisi kashmakash si un mein paiham hoti jati hai
(850) Peoples Rate This