Kaifiyat-e-dil-e-hazin Humse Nahin Bayan Hui
kaifiyat-e-dil-e-hazin hum se nahin bayan hui
lafz na sath de sake aansuon se ayan hui
shorish-e-wardat-e-qalb sheron mein Dhaal Dhaal kar
likhte rahe tamam umr KHatm na dastan hui
ab na wo dil mein dhaDkanen ab na wo soz-o-saz hai
puchhte hain wafat-e-dil kaise hui kahan hui
meri zara si baat par jaane wo kyun KHafa hui
koi na talKH guftugu donon ke darmiyan hui
ghar to hazaron ban gae inTon ko joD joD kar
ghar ke makinon ki wafa zinat-e-ashiyan hui
surat thi wo ki barq si badliyon ki thi oT mein
pardon se jhank jhank kar pardon mein hi nihan hui
ek hi shaKH par rahe baDh mein sanp aur aadmi
kaisi ajib dosti donon ke darmiyan hui
(1052) Peoples Rate This