Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4eb055eac0632a438c73a43e409195b2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaane Phir Tum Se Mulaqat Kabhi Ho Ki Na Ho - B S Jain Jauhar Poetry In English - Darsaal

Jaane Phir Tum Se Mulaqat Kabhi Ho Ki Na Ho

jaane phir tum se mulaqat kabhi ho ki na ho

khul ke dukh dard ki kuchh baat kabhi ho ki na ho

phir hujum-e-gham-o-jazbaat kabhi ho ki na ho

tum se kahne ko koi baat kabhi ho ki na ho

aaj to ek hi kashti mein hain manjdhaar mein hum

phir ye majburi-e-haalat kabhi ho ki na ho

ahd-e-mazi ke fasane hi suna len tum ko

itni KHamosh koi raat kabhi ho ki na ho

jo jalata hai mere gham ke andheron mein charagh

mere hathon mein wahi hat kabhi ho ki na ho

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Phir Tum Se Mulaqat Kabhi Ho Ki Na Ho In English By Famous Poet B S Jain Jauhar. Jaane Phir Tum Se Mulaqat Kabhi Ho Ki Na Ho is written by B S Jain Jauhar. Read famous Poem Jaane Phir Tum Se Mulaqat Kabhi Ho Ki Na Ho for youth and Student by B S Jain Jauhar. Free Download Jaane Phir Tum Se Mulaqat Kabhi Ho Ki Na Ho in PDF.