Ek Huk Si Jab Dil Mein UTThi Jazbaat Hamare Aa Pahunche
ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche
alfaz jo zehn mein mauzun the honTon ke kinare aa pahunche
haalat gham-e-dil kah na sake aur dard-e-darun bhi sah na sake
aansu jo hisar-e-chashm mein the palkon ke sahaare aa pahunche
manjhdar mein the aur Dar ye tha ki Dub hi jaenge ab hum
maujon mein jo lahrai kashti tinkon ke sahaare aa pahunche
hum josh-e-jawani mein aa kar ek la-mahdud safar mein the
malum hua manzil ye na thi jab ghaT kinare aa pahunche
ek umr guzari thi hum ne mazlumon ki hi himayat mein
jab gosha-nashini ki Thani phir zulm ke mare aa pahunche
bachpan mein bahut dukh hota tha mazlum ki aah-o-zari par
hote hi jawan bahlane ko duniya ke nazare aa pahunche
duniya ke hawadis ne itna pamal kiya hum ko 'jauhar'
bachne ki koi ummid na thi qismat ke sitare aa pahunche
(793) Peoples Rate This