Kuchh Nahin Hota Shab Bhar Sochon Ka Sarmaya Hota Hai

kuchh nahin hota shab bhar sochon ka sarmaya hota hai

hum ne sehn ke ek kone mein diya jalaya hota hai

sham-e-tarab ke lamho is ko mat aawazen diya karo

raat ne apne sar par gham ka bojh uThaya hota hai

jalte hain to peD hi jalte hain suraj ki hiddat se

phulon par to patton ki ThanDak ka saya hota hai

main ne aaj talak na dekha pau phaTne ka manzar tak

jab bhi so kar uThta hun to baadal chhaya hota hai

kis ne kaha hai diwaron par saya karta hai suraj

diwaron par diwaron ka apna saya hota hai

un logon se puchhe koi sher ka rutba aur shuur

jin logon ne ghazal ko apna KHun pilaya hota hai

shahr ke log bhi shahr ke hangamon mein gum hote hi 'adim'

basti walon ne bhi koi rog lagaya hota hai

(970) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Nahin Hota Shab Bhar Sochon Ka Sarmaya Hota Hai In English By Famous Poet Azraq Adeem. Kuchh Nahin Hota Shab Bhar Sochon Ka Sarmaya Hota Hai is written by Azraq Adeem. Read famous Poem Kuchh Nahin Hota Shab Bhar Sochon Ka Sarmaya Hota Hai for youth and Student by Azraq Adeem. Free Download Kuchh Nahin Hota Shab Bhar Sochon Ka Sarmaya Hota Hai in PDF.