Tarik Ujalon Mein Be-KHwab Nahin Rahna
tarik ujalon mein be-KHwab nahin rahna
us zist ke dariya ko payab nahin rahna
sarsabz jaziron ki ubhregi shabahat bhi
us zist samundar ko be-ab nahin rahna
is hijr-e-musalsal ki aadat bhi kabhi hogi
honTon pe sada gham ka zahrab nahin rahna
chhan chhan ke bahega din baadal ki ridaon se
suraj ki shuaon ko nayab nahin rahna
us raat ke mathe par ubhrenge sitare bhi
ye KHauf andheron ka shadab nahin rahna
(1063) Peoples Rate This