Par Saubat Raston Ki Garmiyan Bhi De Gaya
par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya
aane wali chhanw ki KHush-fahmiyan bhi de gaya
saKHt bijon se sunahri baaliyan bhi bhar gain
garm jhonka mausamon ki saKHtiyan bhi de gaya
baadalon ki aas us ke sath hi ruKHsat hui
shahr ko wo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya
ehtisab us ka amal tha us se wo farigh hua
waqt saDkon ko luTi shahzadiyan bhi de gaya
bebasi aur bhuk mein jo hausle deta raha
pyar karne ki mujhe kamzoriyan bhi de gaya
Tahniyan phulon se lad kar rab ke aage jhuk gain
mausam-e-gul jate jate titliyan bhi de gaya
aasman ne man zamin ki god to bhar di magar
de ke beTe un ko kuchh na-samjhiyan bhi de gaya
(934) Peoples Rate This