Hawa Ke Lab Pe Nae Intisab Se Kuchh Hain
hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain
ki shaKH-e-wasl pe taza gulab se kuchh hain
ye pal ka qissa hai sadiyon pe jo muhit raha
bar-ab saat-e-guzaran habab se kuchh hain
hujum hum ko sar aankhon pe kyun biThae raha
dil-o-nazar pe hamare azab se kuchh hain
lahu rulate hain aur phir bhi yaad aate hain
mohabbaton ke purane nisab se kuchh hain
utarte rahte hain aankhon ke aainon pe sada
kitab-e-KHasta mein gum-gashta bab se kuchh hain
siwae tishnagi kuchh aur de sake na hamein
jo zer-e-ab chamakte sarab se kuchh hain
mudam un ko chamakna baghair KHauf-e-fana
ye aasman pe jo be-hisab se kuchh hain
(975) Peoples Rate This