Gire Qatron Mein Patthar Par Sada Aisa Bhi Hota Hai
gire qatron mein patthar par sada aisa bhi hota hai
bhala ho kar bhala nam-e-KHuda aisa bhi hota hai
dilon mein talKHiyan phir bhi nazar mein muskurahaT ho
bala ke habs mein bhi ho hawa aisa bhi hota hai
main KHud se ajnabi ho kar qaba-e-KHush-dili pahnun
mere andar rahe koi chhupa aisa bhi hota hai
kanar-e-ab-e-dajla dhup tapti ho qayamat ki
har ek zarra bane karb-o-bala aisa bhi hota hai
kabhi tanhaiyon mein KHud-kalami aur phir hansna
mujhe ras aae ye aab-o-hawa aisa bhi hota hai
sabhi paDh kar phir apni rah ho lete hain basti mein
sar-e-diwar kuchh mubham likha aisa bhi hota hai
bacha lun nuh ke beDe ko tufanon ki shiddat se
baDha bahr-e-madad KHud kibriya aisa bhi hota hai
(1039) Peoples Rate This