Faza Ka Rang Nikharta Dikhai Deta Hai
faza ka rang nikharta dikhai deta hai
hai shab tamam ki sapna dikhai deta hai
lahu ka rang hai miT kar bhi rang laega
ufuq ka rang sunahra dikhai deta hai
wo jis ne dhup ke mele ko chhat muhayya ki
saDak pe us ka basera dikhai deta hai
main kaun hun ki hai sab kanch ka wajud mera
mera libas bhi maila dikhai deta hai
sarab lab pe sajae har ek phirta hai
mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai
tane ko chhoD ke patton ko thamne walo
tumhein shajar bhi tamasha dikhai deta hai
abhi se kashtiyan sahil pe le chale logo
abhi se tum ko kinara dikhai deta hai
wo saunp jata hai mujh ko hawa ke hathon mein
usi ka mujh ko sahaara dikhai deta hai
(993) Peoples Rate This