Subh Ke Do Manzar
motiya se khile hue bachche
pak masum narm chehron par
subh ki tazgi ka nur liye
lal pile sajile baston mein
apni maon ka pyar bap ke KHwab
roz school le ke jate hain
subh hoti hai phenk deta hai
zard maila thaka thaka suraj
pak masum narm chehron par
rozi roTi ki ehtiyaj ki dhul
subh hoti hai kachchi basti mein
roz ki tarah jag uThte hain
nanhe mazdur bhole saudagar
phul se hathon wale kari-gar
kar-KHanon mein shah-rahon par
tang galiyon mein chae-KHanon mein apni qismat jagane jate hain
(1112) Peoples Rate This