Kaise Kaise Swang Rachae Humne Duniya-dari Mein
kaise kaise swang rachae hum ne duniya-dari mein
yun hi sari umar ganwa di auron gham-KHwari mein
hum bhi kitne sada-dil the sidhi sachchi baat karen
logon ne kya kya kah Dala lahjon ki tah-dari mein
jab duniya par bas na chale to andar andar khuDhna kya
kuchh bele ke phul khilaen aangan ki phulwari mein
kai dinon se jism o jaan par ek be-kaifi chhai hai
bhig rahi hai raat sunao koi ghazal darbari mein
aane wale kal ki KHatir har har pal qurban kiya
haal ko dafna dete hain hum jine ki tayyari mein
tum bhi in bite barson ki koi nishani le aana
main tum se milne aaungi isi basanti sari mein
ab ki bar jo ghar jaana to sare album le aana
waqt ki dimak lag jati hai yaadon ki almari mein
(2227) Peoples Rate This