Tum Hanste Kyun Ho
kya ab raat aise hi
guzar jaegi
ye raat hi to hai
jo tahlil ho jati hai ek nuqte mein
aur ghumti hai
mere gird kale bhinbhinate hue
bhanwre ki tarah
wo mere kanon meri aankhon
meri gardan aur mere roen roen mein
bhinbhinati hai
meri baghlon ke baalon se ulajhti hui
mere jism ke kone khudron mein
gudgudati hui
ye raat mere upar phail jati hai
achanak
oDh leti hai mujhe
mere jism ki por por mein
ek jal-tarang chheD deti hai
main nind mein uThti hun
mera halq KHushk ho raha hai
pani ka ek gilas ThanDa yaKH
mere honTon mere halq mere sine
ko tar karta hua
mere jism ki jal-tarang mein mil jata hai
main darwaze par dastak deti hun
tum sun rahe ho
raat ki jal-tarang mere jism se
phuT rahi hai
darwaza khulta hai
main tumhaare aadhe nange badan ko
daboch leti hun
tumhaari naf ke gaDhe mein
nak ki nok ghuseDti hun
tum muskura rahe ho
raat ki shararat mere jism par
phaile hue dekh kar
tum hanste
raat konon khudron mein phail rahi hai
main tumhaare kapDe utar deti hun
aur wo khel khelti hun
jo raat mere sath khel rahi thi
main tumhaare jism ke gird
apni zaban apne danton aur naKHunon ke sath
bhinbhinane lagti hun
tum muskura rahe ho
tumhaari muskurahaT
mere jism ki poron ko aur khol rahi hai
main zaKHmi kar deti hun tumhein
tum hans rahe ho
raat ke paron pe sawar bhanwre ki tarah
mujhe bhinbhinate dekh kar
tumhaari kushada aankhon ke kone
phailne lagte hain
tumhaara jism akaD jata hai
nahin aaj tum
tum khilkhilate ho
main tumhaare akDe hue jism par
apni khuli hui poron ko rakh deti hun
tumhaara jism raat ke jhag se bhar jata hai
tum hanste ho
hanste hi rahte ho
(1212) Peoples Rate This