TukDon Mein BaTi Hui Zindagi
pahle hum zindagi ko TukDon mein
taqsim karte hain
aur phir
in TukDon ko rakh kar
bhul jate hain
ye bhul hamare jism ko
ek jal mein lapeT leti hai
kaun sa TukDa
kahan rakha tha
jis ki zarurat paDti hai
waqt par wo nahin milta
hum sari zindagi
zarurat ke waqt
apni zindagi ke TukDe
talash karte rahte hain
lekin
be-tartibi aur bhul-bhulayyan
jari rahti hain
zindagi guzar jati hai
aur guzar jaane ke baad
TukDe aapas mein mil jate hain
ya koi dusra unhen jama kar leta hai
(1203) Peoples Rate This