Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2536cd39ad2244799fb2aa24814549d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Din Ek Jaise Nahin Hote - Azra Abbas Poetry In English - Darsaal

Sab Din Ek Jaise Nahin Hote

sab din ek jaise nahin hote

kal ka din to aisa nahin tha

jaisa aaj ka hai

har din apni apni gupha mein

chhupa

jab sawere sawere

hum se samna karta hai

to kahta hai

aaj ka din guzaro to jaanen

aur hum

kamar-basta ho jate hain

aaj ke din ke guzarne ko

wo din hum guzar lete hain

aur hum is guzre hue

din ko

pichhe palaT kar dekhte hain

suraj ke sath

Dubte

andhere mein munh chhupate

bahut Thonk kar aaya tha

KHud ko

jaise hamein ye din guzarne na dega

aur giDgiDaenge hum

us ke samne

aur apni gardan jo hum hamesha

akDi rakhte hain

us ke samne jhuka denge

aur apni aankhen

phaTi phaTi kar ke us ke samne iltija karenge

ki aaj ka din waisa hi guzre

jaisa

ek din guzara tha

jaise hum kabhi nahin bhulte

bhale se

sare din aise waise guzarte rahen

hum nahin jhukaenge apni

gardan

aur laga denge is mein

hamesha ke liye

cluff

jo us ke samne hamein

jhukne nahin dega

bhale wo din kitna hi bura guzre

(1281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Din Ek Jaise Nahin Hote In English By Famous Poet Azra Abbas. Sab Din Ek Jaise Nahin Hote is written by Azra Abbas. Read famous Poem Sab Din Ek Jaise Nahin Hote for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Sab Din Ek Jaise Nahin Hote in PDF.