Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1a292e58b3199188e61de885985bb054, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nahin - Azra Abbas Poetry In English - Darsaal

Nahin

tum ek KHayal ki tarah mere dil mein

nahin utar sakte

na tum meri aaankhon mein KHwab ban sakte ho

abhi to main tum ko dekh rahi hun

tum ko chhu sakti hun

tumhaari ungliyon ki poren

saman bandhte hue

meri poron se Takra bhi sakti hain

lekin jab

ye sab kuchh nahin hoga

main tumhein

ek yaad mein badal dungi

aur mila dungi

apni un yaadon se

jinhen main bhula baiThi hun

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin In English By Famous Poet Azra Abbas. Nahin is written by Azra Abbas. Read famous Poem Nahin for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Nahin in PDF.