Mujhe Taqsim Kar Do
apni zaban
mere mathe se meri nak ki sidh par
niche ki taraf
aahista aahista le kar chalo
han aise yun
bahut aahista bilkul chyunTi ki tarah
rengti hui
tumhaari zaban mere jism ke bichon-bich
jaise tum mujhe aadha kar rahe ho
peT ke ubhaar se hote hue
naf ke ubhaar se hote hue
naf ke raste se
peDu ke ubhaar par Thahar jao
ab to meri sans chaDhne lagi hai
yahan se
Dhalwan shurua ho jati hai
pichhla to sara rasta sidha hi tha
tumhaari zaban
ab tak apni ek ek sarak mein
kitne jam pila chuki hai
jaante ho
is lams ka nasha sharab hi jaisa to hai
ek ghunT do
zaban yahin rahne do
ek ghunT le lun
ye jab mere halq se niche utregi
tum nahin jaan sakte
tumhein bata dun to bhi to kya mere andar
sarsaraate hue
un sanpon ko dekh sakoge
jo tumhaari zaban ke sarakne ke sath sath
ek ek jumbish par mere andar
phunkarte hain
mujh par ek sath war karte hain
han ruko nahin
is Dhalan se niche bhi to jaana hai
niche aur niche jahan
tumhaari zaban thoDi der
sustaegi
aur phir mujhe do hisson mein
taqsim kar degi
(1001) Peoples Rate This