Mez Par Rakhe Hath
mez par rakhe hain hath
hathon ko mez par se uThati hun
phir bhi paDe rahte hain
mez par
aur hanste hain
mez par rakhe
apne hi do hathon ko
hathon se uThana mushkil lagta hai
mein hathon ko danton se
uThati hun
par hath nahin uThte
mez par rah jate hain
danton ke nishanon se bhare hue
sakit aur ghurte hue
main bhi hathon ko ghurti hun
mez ka rang aaankhon mein
bhar jata hai
main aanhken band kar leti hun
so jati hun
mez par rakhe hue hathon par
sar rakh kar
(1094) Peoples Rate This