Kahen Se Koi Nuqta Aa Jae
jo kisi bhi lafz par
na lagaya ja sake
aur wo nuqta
alahida
alag-thalag
khaDa rahe
kisi bhi guman ke sahaare
is intizar mein
ki koi aisa lafz aa jae
jis par use lagaya ja sake
ye bhi ho sakta hai
wo nuqta
sadiyon us lafz ka
intizar karta rahe
ye bhi ho sakta hai
sadha sal guzar jaane ke baad
ye sare lafz bosida ho jaen
aur gal-saD kar
tahlil ho jaen
aur kuchh baqi na rahe
sirf wo nuqta rah jae
(1006) Peoples Rate This