Is Zindagi Ke Badle

is zindagi ke badle

mujhe bana diya jata

baadalon se girti hui ek bund

kisi sukhi ghas ke gaTThar par

paDa hua ek tinka

ya

bahte hue pani ke aas-pas

jami hui kai

is zindagi ke badle

mujhe bana diya jata

ek raat se dusri raat tak

phaila hua be-maza zaiqa

ya

wo dana jis kisi parinde ki chonch se gir riha ho

is zindagi ke badle

mujhe diwar par phaile hue

silan-zada dhabbe mein badal diya jata

ya

pahaDon par Thahri hui barf

jo kisi ne na dekhi ho

ya

ek tabut jo kisi marne wale se

KHali kara liya gaya ho

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Zindagi Ke Badle In English By Famous Poet Azra Abbas. Is Zindagi Ke Badle is written by Azra Abbas. Read famous Poem Is Zindagi Ke Badle for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Is Zindagi Ke Badle in PDF.