Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1999311a5760e05bdc3ec2b88b68f091, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Zindagi Aur Mil Jae - Azra Abbas Poetry In English - Darsaal

Ek Zindagi Aur Mil Jae

agar mujhe ek zindagi

aur mil jae

to main apne safar ko

apne asbab ke sath

bandh kar rakhkhun

ek parinde ki tarah

paniyon se Takraati hui

aankh se ojhal ho jaun

ek aise daraKHt ki tarah

jo sari umr

dhup aur chhanw ka maza leta hai

ek aise banjare ki tarah

jo pahaDon aur maidanon ko

apne qadmon ki dhul mein

sameT leta hai

kisi aisi raqqasa ki tarah

jo apne man ka bojh

apne jism par Dal deti hai

kisi aisi jang mein sharik ho kar

jo bhuk aur nafrat ke KHilaf

laDi ja rahi ho

mari jaun

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Zindagi Aur Mil Jae In English By Famous Poet Azra Abbas. Ek Zindagi Aur Mil Jae is written by Azra Abbas. Read famous Poem Ek Zindagi Aur Mil Jae for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Ek Zindagi Aur Mil Jae in PDF.