Din
din guzarte hain
din kaise guzarte hain
yun to sab hi din guzar jate hain
jo zinda hain
wo to guzarte hain
zalil hote hue
kabhi bhuk ke hathon
kabhi chaaron taraf phaili un wabaon
ki sarparasti mein
jo KHuda ban jati hain
saffak be-rahmi ke libas mein
gharon ki munDeron par chalti hain
chhalawon ki tarah
chabaati hain maon ke kaleje
chirti hain nanhe bachchon ka dil
apni kisi ziyafat mein pesh karne ke liye
apni hi jaisi balaon ko
nahin rok sakta koi unhen
wo bhi jo un ka KHuda hai
wo bulate hain apne KHuda ko bhi
is ziyafat mein
shayad wo bhi insani gosht ka
shauqin hai
aur uksata hai unhen
jab jab use ishtiha hoti hai
un ka KHuda
sirf un ka KHuda hai
un ka nahin
jin ke kaleje chabae ja rahe hain
(1040) Peoples Rate This