Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_56cb4515baa98f967ccfbfccc669f616, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
AaKHiri Rusumat Ke Dauran - Azra Abbas Poetry In English - Darsaal

AaKHiri Rusumat Ke Dauran

tumhein yaad hai

mohabbat ki aaKHiri rusumat ke dauran

tanhai ke ek jangal mein

main ne tumhein mohabbat ka aaKHiri tohfa bhi diya tha

mere kunware-pan ki KHushbu

tumhaare pasine mein gundh gai thi

wo sham

pahle bose se shurua

hui thi

aur andhere ki nazr ho gai thi

lekin mohabbat

be-saKHtagi ke is war par

KHush thi

mohabbat apni jit ka jashn mana rahi thi

kya ye yaad tumhaare liye

ek tohfa nahin hai

jo us din tumhein mila tha

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Rusumat Ke Dauran In English By Famous Poet Azra Abbas. AaKHiri Rusumat Ke Dauran is written by Azra Abbas. Read famous Poem AaKHiri Rusumat Ke Dauran for youth and Student by Azra Abbas. Free Download AaKHiri Rusumat Ke Dauran in PDF.