Watan
meri jaan ho ki mera badan
tera jalwa-gah hai ai watan
teri KHak un ka KHamir hai
mere KHun mein ye jhalak teri
meri nabz mein ye chipak teri
meri sans teri safir hai
teri KHak jag ka KHulasa hai
tera husn ek tamasha hai
teri phaili god ki bagh hai
teri KHak-e-pak zalil hai
to ghulamiyon ki dalil hai
teri paud sharm ka dagh hai
tujhe ma-siwa se gira diya
hamein ma-siwa ne miTa diya
hue tafraqon se tamam hum
tujhe jab talak ki bhula rakha
hamein waqt ne bhi miTa rakha
bane ghar mein apne ghulam hum
tere KHun hain ye phaTe phaTe
tere put hain ye baTe baTe
tere dil jigar hain ye be-wafa
tera kuchh lahu hi safed hai
ki ajab tarah ka ye bhed hai
nahin bhai bhai se aashna
nahin ghair ka hamein kuchh gila
ki ghulamiyon ka ye phal mila
hamein tafarqe ke junun se
tere dudh mein meri pyari man
nahin dard ki koi bijliyan
ki mila de KHun ko KHun se
hamein bhaiyon se ghurur hain
tere jahl-o-wahm mein chur hain
ki jo kaam hain so KHata ke hain
kahin zat-pat ki lag hai
kahin din-dharm ki aag hai
kahin bair muft KHuda ke hain
jinhen pit hai unhen jit hai
yahi jag mein jit ki rit hai
tere put apnon se ghair hain
hamein ghairiyat ye miTani hai
hamein jit aap pe pani hai
usi ghar ke ghair se ghair hain
tere put bhai hain bhai hun
tere dil se sab hi fidai rahun
ki tu aap apni misal ho
tere zor ki yahi dhak ho
ki jahan burai se pak ho
tera ilm haq ka kamal ho
(1294) Peoples Rate This