Ye Mat Kaho Ki BhiD Mein Tanha KhaDa Hun Main
ye mat kaho ki bhiD mein tanha khaDa hun main
Takra ke aabgine se patthar hua hun main
aaankhon ke jangalon mein mujhe mat karo talash
daman pe aansuon ki tarah aa gaya hun main
yun be-ruKHi ke sath na munh pher ke guzar
ai sahab-e-jamal tera aaina hun main
yun bar bar mujh ko sadaen na dijiye
ab wo nahin raha hun koi dusra hun main
meri buraiyon pe kisi ki nazar nahin
sab ye samajh rahe hain baDa parsa hun main
wo bewafa samajhta hai mujh ko use kaho
aaankhon mein us ke KHwab liye phir raha hun main
(1948) Peoples Rate This