Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_208feb7946988ef1cdedca3a42b97ac6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shab Ki Aaghosh Mein Mahtab Utara Usne - Azm Shakri Poetry In English - Darsaal

Shab Ki Aaghosh Mein Mahtab Utara Usne

shab ki aaghosh mein mahtab utara us ne

meri aankhon mein koi KHwab utara us ne

silsila TuTa nahin mom-sifat logon ka

pattharon mein dil-e-betab utara us ne

hum samajhte the ki ab koi na aaega yahan

dil ke sahra mein bhi asbab utara us ne

bazm mein KHub luTae gae chahat ke gulab

is tarah sadqa-e-ahbab utara us ne

aansuon se kabhi sairab na hota sahra

mere andar koi sailab utara us ne

(1604) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ki Aaghosh Mein Mahtab Utara Usne In English By Famous Poet Azm Shakri. Shab Ki Aaghosh Mein Mahtab Utara Usne is written by Azm Shakri. Read famous Poem Shab Ki Aaghosh Mein Mahtab Utara Usne for youth and Student by Azm Shakri. Free Download Shab Ki Aaghosh Mein Mahtab Utara Usne in PDF.