Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_271b4d2d56ac37df203f83dad0d993cc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHun Aansu Ban Gaya Aaankhon Mein Bhar Jaane Ke Baad - Azm Shakri Poetry In English - Darsaal

KHun Aansu Ban Gaya Aaankhon Mein Bhar Jaane Ke Baad

KHun aansu ban gaya aaankhon mein bhar jaane ke baad

aap aae to magar tufan guzar jaane ke baad

chand ka dukh banTne nikle hain ab ahl-e-wafa

raushni ka sara shiraaza bikhar jaane ke baad

hosh kya aaya musalsal jal raha hun hijr mein

ek sunahri raat ka nashsha utar jaane ke baad

zaKHm jo tum ne diya wo is liye rakkha hara

zindagi mein kya bachega zaKHm bhar jaane ke baad

sham hote hi charaghon se tumhaari guftugu

hum bahut masruf ho jate hain ghar jaane ke baad

zindagi ke nam par hum umar bhar jite rahe

zindagi ko hum ne paya bhi to mar jaane ke baad

(1809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun Aansu Ban Gaya Aaankhon Mein Bhar Jaane Ke Baad In English By Famous Poet Azm Shakri. KHun Aansu Ban Gaya Aaankhon Mein Bhar Jaane Ke Baad is written by Azm Shakri. Read famous Poem KHun Aansu Ban Gaya Aaankhon Mein Bhar Jaane Ke Baad for youth and Student by Azm Shakri. Free Download KHun Aansu Ban Gaya Aaankhon Mein Bhar Jaane Ke Baad in PDF.