Agar Dasht-e-talab Se Dasht-e-imkani Mein Aa Jate
agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate
mohabbat karne wale dal pareshani mein aa jate
hisar-e-sabr se jis roz main bahar nikal aata
samundar KHud meri aaankhon ki virani mein aa jate
agar sae se jal jaane ka itna KHauf tha to phir
sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate
junun ki azmaton se aashnai hi na thi warna
jo the ahl-e-KHirad sab chaak-damani mein aa jate
kisi zardar ki yun naz-bardari se behtar tha
kisi ujDe hue dil ki bayabani mein aa jate
(1214) Peoples Rate This