Wusat-e-chashm Ko Andoh-e-basarat Likhkha
wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha
main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likhkha
main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage
aur be-baal-o-pari ko bhi nihayat likhkha
main ne KHushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi
rang ko fasla rakhne ki riayat likkha
husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi
shor likhna tha so aazar-e-samaat likhkha
main ne tabir ko tahrir mein aane na diya
KHwab likhte hue mohtaj-e-bashaarat likhkha
koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha
itne daon se guzar kar ye KHayal aata hai
'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likhkha
(1022) Peoples Rate This