Us Aankh Se Wahshat Ki Tasir UTha Laya
us aankh se wahshat ki tasir uTha laya
main jagte rahne ki tadbir uTha laya
main niyat-e-shab-KHun se KHeme mein gaya lekin
dushman ke sirhane se shamshir uTha laya
wo subh-e-rihai thi ya sham-e-asiri thi
jab main dar-e-zindan se zanjir uTha laya
aawara-mizaji par harf aane se pahle hi
dil tere taghaful ki taswir uTha laya
ai KHwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein
andesha-e-duniya ki tabir uTha laya
wo sang-e-malamat tha jis ko tera dil kah kar
us kuche se mujh jaisa rah-gir uTha laya
us shaKHs se main sab ko ujlat mein mila baiTha
aur apne liye kaisi taKHir uTha laya
maidan-e-shikayat se kya apne siwa lata
ek ranj tha main jis ki tamir uTha laya
us bazm-e-suKHan mein hum kya pahunche ki shor uTTha
lo 'azm' koi zaKHmi tahrir uTha laya
(1273) Peoples Rate This