Mujhe Kal Achanak KHayal Aa Gaya Aasman Kho Na Jae
mujhe kal achanak KHayal aa gaya aasman kho na jae
samundar ko sar karte karte kahin baadban kho na jae
koi na-muradi ki yalghaar sine ko chhalni na kar de
kahin dasht-e-anfas mein sabr ka karwan kho na jae
ye hansta hua shor sanjidgi ke liye imtihan hai
so mohtat rahna ki tahzib-e-ah-o-fughan kho na jae
ise waqt ka jabr kahiye ki bechaargi jism o jaan ki
makan khone walon ko Dar hai ki ab la-makan kho na jae
main apne iradon ki gaThri uThae kahin ja na paya
hamesha ye dhaDka raha mahfil-e-dostan kho na jae
ye qisson ki rim-jhim mein bhiga hua halqa-e-guftugu hai
yahan chup hi rahna ki tasir-e-lafz-o-bayan kho na jae
yahan kis ko fursat ki aaghaz o anjam ko yaad rakkhe
sabhi ko ye tashwish hai waqt ka darmiyan kho na jae
ye bazar-e-nafa-o-zarar hai yahan be-tawazun na hona
sameTo agar sud to dhyan rakhna ziyan kho na jae
uTho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko
agar ruk na pae to koshish ye karna dhuan kho na jae
(1089) Peoples Rate This