Maine Kal KHwab Mein Aainda Ko Chalte Dekha
main ne kal KHwab mein aainda ko chalte dekha
rizq aur ishq ko ek ghar se nikalte dekha
raushni DhunD ke lana koi mushkil to na tha
lekin is dauD mein har shaKHs ko jalte dekha
ek KHush-fahm ko rote hue dekha main ne
ek be-rahm ko andar se pighalte dekha
roz palkon pe gai raat ko raushan rakkha
roz aankhon mein gae din ko machalte dekha
subh ko tang kiya KHud pe zarurat ka hisar
sham ko phir isi mushkil se nikalte dekha
ek hi samt mein kab tak koi chal sakta hai
han kisi ne mujhe rasta na badalte dekha
'azm' is shahr mein ab aisi koi aankh nahin
girne wale ko yahan jis ne sambhalte dekha
(1396) Peoples Rate This