Maine Chup Ke Andhere Mein KHud Ko Rakha Ek Faza Ke Liye
main ne chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye
hujra-e-zat mein raushni lane wali dua ke liye
be-sada saaton mein samaat ki raftar rukne ko thi
ek aahaT ne mujh se kaha jag jao KHuda ke liye
ek dushman-nazar meri narmi pe iman lane ko hai
main ajab intiha par khaDa hun kisi ibtida ke liye
koi KHush-qamati aaine ke muqabil sambhalti hui
koi tadbir-e-nazzara simTi hui ek ada ke liye
ek hairat se lipTi hui ek subuk-doshi-e-pairahan
muztarib hai achanak bichhaD jaane wali haya ke liye
ek safar hausle aur KHwahish ki tasdiq karta hua
ek raste pe madum hote hue naqsh-e-pa ke liye
meri aankhen aur in mein chamakte hue mustaqil faisle
jagmagate rahenge yunhi aane wali hawa ke liye
is se pahle ki manzil andheron mein tabdil hone lage
qafile se kaho rahnuma DhunD le rahnuma ke liye
wusat-e-asman subh-e-parwaz ka koi muzhda suna
shaKH-e-hasrat pe baiThe hue tair-e-be-nawa ke liye
ek bagh-e-talluq kisi chashm-e-hairan mein aabaad hai
ai KHuda is nazare ko sarsabz rakhna sada ke liye
'azm' is arsa-e-na-muradi se ghabra ke ye mat kaho
aisi be-rang si zindagi kis liye kis jaza ke liye
(1089) Peoples Rate This