Be-had Gham Hain Jin Mein Awwal Umr Guzar Jaane Ka Gham
be-had gham hain jin mein awwal umr guzar jaane ka gham
har KHwahish ka dhire dhire dil se utar jaane ka gham
har tafsil mein jaane wala zehn sawal ki zad par hai
har tashrih ke pichhe hai anjam se Dar jaane ka gham
jaane kab kis par khul jae shahr-e-fana ka darwaza
jaane kab kis ko aa ghere apne mar jaane ka gham
ye jo bhiD hai be-haalon ki dauD hai chand niwalon ki
nan-o-namak ka bojh liye jaldi se ghar jaane ka gham
dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae
kise kinare par le Duba par utar jaane ka gham
'azm' udasi ka ye sahra yun qadmon se lipTa hai
jalne walon ko mil jae jaise Thahar jaane ka gham
(1274) Peoples Rate This