Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fdc92c0fd1e6d428aa6d305570bb08b2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Safar Ke Baad Bhi Safar Ka Ehtimam Kar Raha Hun Main - Azlan Shah Poetry In English - Darsaal

Safar Ke Baad Bhi Safar Ka Ehtimam Kar Raha Hun Main

safar ke baad bhi safar ka ehtimam kar raha hun main

ajib be-dili se har jagah qayam kar raha hun main

ye baat baat par uThana hath bad-dua ke waste

mera yaqin kar halal ko haram kar raha hun main

ye log KHwab aur phul se panah mangne lage

bas itna soch kar hi baat ko tamam kar raha hun main

har ek lafz par ukhaD rahi hai bar bar sans ye

mujhe to lag raha hai aaKHiri salam kar raha hun main

kuchh is tarah ki tohmaten lagai ja rahi hain mujh pe ab

KHamosh rah ke apne aap se kalam kar raha hun main

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ke Baad Bhi Safar Ka Ehtimam Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Azlan Shah. Safar Ke Baad Bhi Safar Ka Ehtimam Kar Raha Hun Main is written by Azlan Shah. Read famous Poem Safar Ke Baad Bhi Safar Ka Ehtimam Kar Raha Hun Main for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Safar Ke Baad Bhi Safar Ka Ehtimam Kar Raha Hun Main in PDF.