Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3322e24b8af8b8cc7d8ad08b53113e3e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Piri Nahin Chalti Ki Faqiri Nahin Chalti - Azlan Shah Poetry In English - Darsaal

Piri Nahin Chalti Ki Faqiri Nahin Chalti

piri nahin chalti ki faqiri nahin chalti

is ishq mein har ek ki marzi nahin chalti

paDti hai bana kar hamein rakhni isi KHatir

duniya ke bina apni faqiri nahin chalti

hathon se ganwate hue tujh ko yahi sochun

taqdir ke aage to kisi ki nahin chalti

kis waste rakh legi bharam mera ye duniya

main jaanta hun meri kahin bhi nahin chalti

duniya se bas itni si shikayat rahi hum ko

ye sath hamare kabhi sidhi nahin chalti

(1455) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Piri Nahin Chalti Ki Faqiri Nahin Chalti In English By Famous Poet Azlan Shah. Piri Nahin Chalti Ki Faqiri Nahin Chalti is written by Azlan Shah. Read famous Poem Piri Nahin Chalti Ki Faqiri Nahin Chalti for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Piri Nahin Chalti Ki Faqiri Nahin Chalti in PDF.