Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_df0790cf290e204462fd16134fb91c49, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue - Azlan Shah Poetry In English - Darsaal

Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue

kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue

KHuda ko bhul gae nekiyan kamate hue

wagarna baat hamari samajh se bahar thi

ye ishq ho gaya bas ruThte manate hue

hamari wapsi aasan nahin yaqin mano

yahan tak aae hain hum kashtiyan jalate hue

unhen aziz hai jina jo ji rahe hain yahan

mazaq ban ke KHud apna mazaq uDate hue

bhaDas dil ki nikali gai kuchh aise bhi

duaen mangi gain chiKHte chillate hue

main ghir gaya hun yahan par bahut se apnon mein

tere liye sabhi kuchh daw par lagate hue

(1185) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue In English By Famous Poet Azlan Shah. Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue is written by Azlan Shah. Read famous Poem Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Kisi Ke Nam Pe Nanhe Diye Jalate Hue in PDF.