Ye Hum Par Lutf Kaisa Ye Karam Kya
ye hum par lutf kaisa ye karam kya
badal Dale hain andaz-e-sitam kya
zamana hech hai apni nazar mein
zamane ki KHushi kya aur gham kya
jab us mahfil ko hum kahte hain apna
phir us mahfil mein fikr-e-besh-o-kam kya
nazar aati hai duniya KHub-surat
mere saghar ke aage jam-o-jam kya
jabin hai be-niyaz-e-kufr-o-iman
dar-e-but-KHana kya sehn-e-haram kya
teri chashm-e-karam ho jis ki jaanib
use phir imtiyaz-e-besh-o-kam kya
mere mah-e-munawwar tere aage
charagh-e-dair kya sham-e-haram kya
nigah-e-naz ke do shobade hain
'aziz' apna wajud apna adam kya
(1139) Peoples Rate This