Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8e844274e447f6cb56fe18774e36775d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Usne Mere Marne Ke Liye Aaj Dua Ki - Aziz Warsi Poetry In English - Darsaal

Usne Mere Marne Ke Liye Aaj Dua Ki

us ne mere marne ke liye aaj dua ki

ya rab kahin niyyat na badal jae qaza ki

aankhon mein hai jadu teri zulfon mein hai KHushbu

ab mujh ko zarurat na dawa ki na dua ki

ek murshid-e-bar-haq se hai derina talluq

parwah nahin mujh ko saza ki na jaza ki

donon hi barabar hain rah-e-ishq-o-wafa mein

jab tum ne wafa ki hai to hum ne bhi wafa ki

ghairon ko ye shikwa hai ki pita hai shab-o-roz

mai-KHane ka muKHtar to ab tak nahin shaki

ye bhi hai yaqin mujh ko saza wo nahin denge

ye aur bhi hai taslim ki han main ne KHata ki

is daur ke insan ko KHuda bhul gaya hai

tum par to 'aziz' aaj bhi rahmat hai KHuda ki

(1342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Mere Marne Ke Liye Aaj Dua Ki In English By Famous Poet Aziz Warsi. Usne Mere Marne Ke Liye Aaj Dua Ki is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Usne Mere Marne Ke Liye Aaj Dua Ki for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Usne Mere Marne Ke Liye Aaj Dua Ki in PDF.